is darja jal raha huun badan ke alaav men
suraj utar ga.e hain mire ghaav ghaav men
jamne laga ragon men lahu barf ki tarah
phir koi tairta hai nazar ke bahav men
ik aan men zamir ka paani utar gaya
kuchh farq aa gaya jo kahin rakh-rakhav men
aisa na ho buland sitare bhi Duub jaa.en
lamba safar na kijiye kaghaz ki naav men
Leave a Reply