is bazm-e-tasavvur men bas yaar ki baten hain
mizhgan ke qaside hain ruḳhsar ki baten hain
honTon ke darichon par dildar ki baten hain
parda bhi hai parde men didar ki baten hain
iz.har-e-mohabbat ka andaz nirala hai
inkar ke lahje men iqrar ki baten hain
din-rat tasavvur men tasvir tumhari hai
is paar ki duniya men us paar ki baten hain
yuun kaif numayan hai ghazlon men miri jaise
afaq ki vus.at men fankar ki baten hain
ankhon ko miri paḌh kar saaqi ne kaha hans kar
iqan zara mushkil mai-ḳhvar ki baten hain
ye ishq tumhen ‘zakir’ kis moḌ pe le aaya
zanjir hai pairon men jhankar ki baten hain
Leave a Reply