is baat ka malal nahin hai ki dil gaya
main us ko dekhta huun jo badle men mil gaya
jo husn tu ne shakl ko baḳhsha vo bol uTha
jo rang tu ne phuul men Daala vo khil gaya
nakami-e-vafa ka namuna hai zindagi
kuche men tere jo koi aaya ḳhajil gaya
qismat ke phoḌne ko koi aur dar na tha
qasid makan-e-ghair ke kyuun muttasil gaya
mujh ko miTa ke kaun sa arman tira miTa
mujh ko mila ke ḳhaak men kya ḳhaak mil gaya
‘muztar’ main un ke ishq men be-maut mar gaya
ab kya bata.un jaan ga.i hai ki dil gaya
Leave a Reply