• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Is Aalam-E-Hairat-O-Ibrat Mein Kuchh Bhi To Sarab Nahin Hota

Is Aalam-E-Hairat-O-Ibrat Mein Kuchh Bhi To Sarab Nahin Hota

saleem-kausar

is alam-e-hairat-o-ibrat men kuchh bhi to sarab nahin hota

koi niind misal nahin banti koi lamha khvab nahin hota

ik umr numu ki khvahish men mausam ke jabr sahe to khula

har khushbu aam nahin hoti har phuul gulab nahin hota

is lamha-e-khair-o-shar men kahin ik saaat aisi hai jis men

har baat gunah nahin hoti sab kar-e-savab nahin hota

mire chaar taraf avazen aur divaren phail gaiin lekin

kab teri yaad nahin aati aur ji be-tab nahin hota

yahan manzar se pas-e-manzar tak hairani hi hairani hai

kabhi asl ka bhed nahin khulta kabhi sachcha khvab nahin hota

kabhi ishq karo aur phir dekho is aag men jalte rahne se

kabhi dil par aanch nahin aati kabhi rang kharab nahin hota

miri baten jivan sapnon ki mire sher amanat naslon ki

main shaah ke giit nahin gaata mujh se adab nahin hota

Filed Under: Ghazal Tagged With: Top Rated Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

asrarul-haq-majaz

Aaj Bhi

Mera bichhDa Ranjhan moD Sajan

Yun Apne Dil Ke Bojh Ko Kuchh Kam Kiya Gaya

poet

Aalam Teri Nigah Se Hai Sarshaar dekhna

poet

Thi Mohabbat Ki Kar-Farmai

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet