• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Iqrar Hi Ke Sath Ye Inkar Abhi Se

Iqrar Hi Ke Sath Ye Inkar Abhi Se

poet

iqrar hi ke saath ye inkar abhi se

dil toḌte ho kyon mira paiman-shikani se

har ik ko hai ab uns usi but ki gali se

viran huiin masjiden suune hain kalise

bosa hi mujhe do jo nahin vasl pe raazi

achchha hai vahi kaam jo ho jaa.e ḳhushi se

vaa.iz jo pata ḳhuld ka puchhe to bata duun

jannat ki taraf jaate hain us but ki gali se

baaz aao buto apni jafaon se ḳhuda-ra

toḌo na mira shisha-e-dil tang-dili se

tum aaj zarur aaoge lekin ye bata do

sachcha koi iqrar kiya bhi hai kisi se

puura kare allah mire dil ka irada

mar kar bhi na uTThun but-e-kafir ki gali se

vaa.iz ye baraste hue badal ye ghaTa.en

main bach nahin sakta kabhi tauba-shikani se

main kis se ‘fahim’ aur kahun hal-e-gham apna

allah hai agah mire dard-e-dili se

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Kya Wasl Ke Iqrar Pe Mujhko Ho KHushi Aaj

Apni KHabar, Na Us Ka Pata Hai, Ye Ishq Hai

poet

Koi Diwar Salamat Hai Na Ab Chhat Meri

aadil-raza-mansoori

Main

Dhyan Dastak Pe Laga Rahta Hai

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2022 · Urdu Poet