Takra rahi hain tez hava.en chaTan se
bahar na jaao apne shikasta makan se
vo raat bhar charagh ki lau dekhta raha
imkan tarashta hai jo apne guman se
azm-e-safar hai dhuup ka sahra hai aur main
dariya to saath chhoḌ gaya darmiyan se
vo mausam-e-ḳhizan ki thakan hi men jal ga.e
bahar khile jo phuul tire sa.eban se
ik umr ho ga.i hai ki Darta raha huun main
raushan charagh se kabhi andhe makan se
gahre samundaron men sitara na tha koi
sahil ki shaam mil na saki badban se
divar aa.ine ki hai shishe ke bam-o-dar
lekin ghubar uThta hai mere makan se
Leave a Reply