• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Insan Hun Ghir Gaya Hun Zamin Ke KHudaon Mein

Insan Hun Ghir Gaya Hun Zamin Ke KHudaon Mein

insan huun ghir gaya huun zamin ke ḳhudaon men

ab bastiyan basa.unga ja kar ḳhalaon men

yadon ke naqsh kanda hain namon ke ruup men

ham ne bhi din guzare daraḳhton ki chhanv men

dauḌa ragon men ḳhuun ki tarah shor shahr ka

ḳhamoshiyon ne chhin liya chain gaanv men

yuun to ravan hain mere ta.aqub men manzilen

lekin main Thokaron ko lapeTe huun paanv men

vo aa ke chal diye hain ḳhayalon main gum raha

qadmon ki chaap dab ga.i dil ki sadaon men

sar rakh ke so gaya huun ghamon ki salib par

shayad ki ḳhvab le uḌen hansti fazaon men

ek ek kar ke log nikal aa.e dhuup men

jalne lage the jaise sabhi ghar ki chhanv men

sahra ki pyaas le ke chala jin ke saath saath

paani ki ek buund na thi un ghaTaon men

jalte gulab men na zara si bhi aanch thi

ham to jale hain hijr ki ThanDi ḳhizaon men

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Mujhse Anjaan to Nahin Ho Tum

Dar-O-Diwar Pe Hijrat Ke Nishan Dekh Aaen

Wijdan Mein Wo Aaya Ilham Hua Mujhko

Ye Arz-E-Shauq Hai Aaraish-E-Bayan Bhi to Ho

Qubul Hai Gham-E-Duniya Tere Hawale Se

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2022 · Urdu Poet