in dinon vo idhar nahin aata
apna jiina nazar nahin aata
us ki vaada-khilafiyan dekho
aane kahta hai be-par nahin aata
ghar-ba-ghar tu pada phire hai to
aah kyuun mere ghar nahin aata
qasid us bevafa se yuun kahna
likh tu kuchh bhej gar nahin aata
go ki rahta hai ye jaras nalan
mere nalon se par nahin aata
yaar raton ko tere kuche men
kab ye khasta-jigar nahin aata
aur kahte nahin raqib use
lab kuchh mujh ko dar nahin aata
kis liye ‘joshish’ itni nala-kashi
kuchh asar to nazar nahin aata
Leave a Reply