
Jahangeer Nayab
ye kaun jalva-fagan hai miri nigahon men
qadam qadam pe barasta hai nuur rahon men
bharosa had se siva tha mujhe kabhi jis par
mire ḳhilaf hai shamil vahi gavahon men
supurdagi ka ye aalam bhi kya qayamat hai
simaT ke yuun tera aa jaana meri bahon men
tiri panah men rah kar bhi jo nahin mahfuz
mira shumar hai aise hi be-panahon men
kab asman ka phahTta hai dil ye dekhna hai
badal rahi hain miri siskiyan karahon men
main kaise pesh karun da.ava parsa.i ka
main ek umr mulavvis raha gunahon men
bana hai jab se vo ‘nayab’ ham-safar mera
bichhe hue hain masarrat ke phuul rahon men

Leave a Reply