imtihan ke liye jafa kab tak
iltifat-e-sitam-numa kab tak
ghair hai bevafa pa tum to kaho
hai irada nibah ka kab tak
jurm malum hai zulekha ka
tana-e-dast-e-narasa kab tak
mujh pe ashiq nahin hai kuchh zalim
sabr akhir kare vafa kab tak
dekhiye khaak men milati hai
nigah-e-chashm-e-surma-sa kab tak
kahin ankhen dikha chuko mujh ko
janib-e-ghair dekhna kab tak
na milaenge vo na aenge
josh-e-labbaik-o-marhaba kab tak
hosh men aa tu mujh men jaan nahin
ghaflat-e-jurat-azma kab tak
le shab-e-vasl-e-ghair bhi kaati
tu mujhe azmaega kab tak
tum ko khu ho gai burai ki
darguzar kijiye bhala kab tak
mar chale ab to us sanam se milen
‘momin’ andesha-e-khuda kab tak
Leave a Reply