ḳhud apni zillat-o-ḳhvari na karna
kisi kam-zarf se yaari na karna
agar tum shaad rahna chahte ho
kisi ki bhi dil-azari na karna
agar taufiq ho sach bolne ki
to apni bhi taraf-dari na karna
tumhen ham jante pahchante hain
kabhi ham se adakari na karna
kisi ke saath kar lena ibadat
har ik ke saath mai-ḳhvari na karna
na gir jaana ‘ra.is’ apni nazar se
kabhi tauhin-e-ḳhuddari na karna
Leave a Reply