abbu-jan aksar kahte the
sach ko zara mushkil aati hai
fat.h magar mil jaati hai
jaise bhi halat huun bad-tar
kisi ke aage jhukna mat
zehn ka sauda karna mat
ammi kab pichhe rahti thiin
vo bhi hamesha kahti thiin
beta din-o-maz.hab ko aur umda akhlaq ko tum
ammi jaan sa pyara jaano lekin jhuut aur makr fareb
bad-ahdi aur dil-azari
un se duuri rakhna tum
yaad hain mujh ko vo baten bhi maktab men jo aagha the
bade hi pyaar aur badi jatan se
ujle kaghaz jaise dil pe
ham sab ke ye likhte the
mehnat diyanat achchhi baton jurat aur haq-goi ko
ilm ka hasil meri izzat ghar valon ki daulat samjho
bhayya jo kam kam dikhte the
gaanv gaanv phirte rahte the
gande-ma.de logon ko bhuke-nange bachchon ko
jaane kya kya sikhlate the ham jaisa hi batlate the
nahin kisi se nafrat karna azadi pe jaan de dena
aur bhi kuchh kahte the vo
ye sab baten bachpan ki hain
lekin ab to baap bhi huun main
maktab ke aagha ki tarah se bachchon ka ustaz bhi huun main
ammi jaan ki saari baten ab bhi mere zehn men hain
bhayya ke adarshon ko kabhi bhula na paaya main
par ab jo main dekh raha huun samaj men baste logon ko
ammi abbu ki baton ka jo jo natija bhog raha huun
aagha ke anmol se moti dekh ke sab hanste hain log
bhayya ke adarsh ko bhi sab mara mara sa kahte hain
phir kaise ye saari chizen men apne bachchon ko duun
aisi gahri tariki men ammi abbu aagha ke
haq akhlaq aur gyaan ke jugnu raushni kya phailaenge
ya ghup andhere ke ajgar
chun chun ke unhen kha jaenge
jab jab sochta huun ye sab
dubidha men pad jaata huun
tab haule se dil men utar kar
ammi jaan ki ruh-e-muqaddas
chup ke se kah jaati hai
bete jab abbu ne main ne
bhayya aur aagha sahab ne
apni amanat di thi tujh ko
tab bhi aise log the baste
tab bhi aisa ghup andhera
aisi hi tariki thi
Leave a Reply