ilahi kya kabhi puure ye arman ho bhi sakte hain
mire kashana-e-dil men vo mehman ho bhi sakte hain
koi sayyad se puchhe ki o na-vaqif-e-ulfat
ye divane kahin paband-e-zindan ho bhi sakte hain
bata ai khizr rah-e-ishq men manzil hai aisi bhi
kahin ham vaqif-e-asrar-e-janan ho bhi sakte hain
zaban-e-shauq par chha jaega mayusi-e-paiham
lab-e-khamosh rudad-e-dil-o-jan ho bhi sakte hain
ba-pas-e-ehtiram-e-ishq ham khamosh hain varna
pareshan kar bhi sakte hain pareshan ho bhi sakte hain
kabhi ai dida-e-khun-baz tu ne ye bhi socha hai
ye tohfe baryab-e-bazm-e-janan ho bhi sakte hain
nizam-e-zindagi ‘abrar’ kab tak darham-o-barham
kahin yakja ye auraq-e-pareshan ho bhi sakte hain
Leave a Reply