idhar ye zaban kuchh batati nahin hai
udhar aankh kuchh bhi chhupati nahin hai
pata hai riha.i ki dushvariyan par
ye qaid-e-qafas bhi to bhati nahin hai
kami rah ga.i hogi kuchh to kashish men
sada lauT kar yuun hi aati nahin hai
mujhe raas viraniyan aa ga.i hain
tiri yaad bhi ab satati nahin hai
ḳhafa hai karam-farma hai kaun jaane
hava jab diye ko bujhati nahin hai
agar ho ga.e soch men aap buḌhe
to barish badan ko jalati nahin hai
guman pyaar ka ho raha tab se ‘niraj’
qasam jab se meri vo khati nahin hai
Leave a Reply