daa.im ho us ke husn ki nuzhat ḳhuda kare
aur mujh men ye junun ki lazzat ḳhuda kare
sanjidgi ka rang ho thoḌa sa pyaar men
baaqi magar ho rang-e-shararat ḳhuda kare
muddat se koi tiir na ḳhanjar na sang-o-ḳhisht
dushman ho mera zinda salamat ḳhuda kare
ghamgin huun latife hain phir bhi zaban par
qaa.em rahe ye zauq-e-zarafat ḳhuda kare
poshida hain gunahon men barbadiyon ke raaz
nazil ho dil pe harf-e-nadamat ḳhuda kare
majme.a ki kaifiyat ka manzar ajiib tha
baḌhta rahe ye zor-e-ḳhitabat ḳhuda kare
kahte hain apni auron ki sunte nahin hain log
ho jaa.e kaash shauq-e-sama.at ḳhuda kare
kahte hain ahl-e-din ki taqva hi diin hai
vo jaan jaa.en kaash iqamat ḳhuda kare
meri dua yahi hai sharik-e-safar ke saath
aa jaa.e ham ko husn-e-nizamat ḳhuda kare
taḳhliq hai bulandi-e-afkar ki ata
aa.e tire kalam men rif.at ḳhuda kare
har shaḳhs kaash siikh le adab pyaar ke
dil men na ho kisi ke kudurat ḳhuda kare
‘javed’ chhin sakta hai kya koi us ka rizq
jis shaḳhs ki hamesha kifalat ḳhuda kare
Leave a Reply