iid ho jaa.e abhi talib-e-didaron ko
khol do zulf se gar chand se ruḳhsaron ko
le ke dil chain se ja baiThe vo ghar men chhup ke
ab to ankhen bhi tarasne lagin nazzaron ko
phal ye qatil ko diya meri giran-jani ne
toḌ kar Dher kiya saikḌon talvaron ko
ain altaf hai maz.hab men hasinon ke sitam
bad-shuguni hai unhen puchhna bimaron ko
daur-e-saqi men bhi ulTi bahi ganga har roz
jab diya jam-e-mai-e-nab to aghyaron ko
kabhu sauda kabhu vahshat kabhu ghaflat kabhu dard
aag lag jaa.e mohabbat ke in azaron ko
vo pari-ru hai piyo shauq se tum ai ‘tanvir’
mai se parhez nahin chahiye mai-ḳhvaro ko
Leave a Reply