ab to ruuTh jaane ka vaqt hi nahin milta
tujh ko azmane ka vaqt hi nahin milta
so chuke hain jo arman yaas ke shabistan men
ab unhen jagane ka vaqt hi nahin milta
kis tarah bala.en ab tujh ko diid ki ḳhatir
rasta sajane ka vaqt hi nahin milta
aarzu ki jo duniya kho ga.i hai rahon men
us ko DhunD laane ka vaqt hi nahin milta
yuun taras ga.iin ankhen ḳhud ko dekh lene ko
aa.ina dikhane ka vaqt hi nahin milta
vaqt ke taqaze hain mere ḳhushk honTon ko
giit gungunane ka vaqt hi nahin milta
un tumhari yadon ki raushni ghanimat hai
ab diye jalane ka vaqt hi nahin milta
Leave a Reply