husul-e-manzil-e-jan ka hunar nahin aaya
vo raushni thi ki kuchh bhi nazar nahin aaya
bhaTak rahe hain abhi ziist ke sarabon men
musafiron ko shu.ur-e-safar nahin aaya
tamam raat sitara-shanas rote rahe
nazar ganva di sitara nazar nahin aaya
hazar minnaten kiin vaste ḳhuda ke diye
ye rah-e-rast pe vo rahbar nahin aaya
zaban-e-sher pe mohar-e-sukut hai ab tak
jalal-e-saut-o-suḳhan rang par nahin aaya
vo tak rahe hain azal se faraz-e-gardun par
nazar kisi ko bhi najm-e-sahar nahin aaya
hamare shahr ke har sang-bar se ye kaho
hamari shaḳh-e-shajar par samar nahin aaya
har ek moḌ pe ham ne bahut sada.en diin
safar tamam hua ham-safar nahin aaya
dayar-e-ghair se mera vo sar-phira beTa
gaya hai ghar se to phir lauT kar nahin aaya
Leave a Reply