husn kya jis ko kisi husn se ḳhatra na hua
kaun yusuf hadaf-e-kaid-e-zulaiḳha na hua
vo payambar bhi nahin hoga ḳhuda shayad ho
paak daman to raha shahr men rusva na hua
the naya chand to thiin ham se umiden kya kya
qaus ke qaus rahe da.era puura na hua
larzish-e-lab ko zaban koi kumak de na saki
puchhne par bhi to elan-e-tamanna na hua
ham gireban-e-shab-e-tar TaTola hi kiye
kaaj tukmon se sile the so ujala na hua
kya na chaha ki bana le mah-e-kan.an ko ghulam
ek buḌhiya ne bhi afsos ki paisa na hua
na-sho.uri men ajab zo.am tha dana.i ka
jab zara aql mujhe aa.i to divana hua
varison ko na raha yaad ki virsa kya tha
aur kafan bhi shohda ka abhi maila na hua
har tamanna ne nikalte hi dagha di kaisi
kuchh vafadar vo arman tha jo puura na hua
pyaar be-qaul-o-qasam donon taraf ab tak hai
aa paḌi us ko haya ham se taqaza na hua
zinda gaaḌe hue bandon ke ye sunsan nagar
aaj hi koi zamane ka masiha na hua
ye bhi kahta ki ḳhuda huun to jabin jhuk jaati
vaisa insan koi aur to paida na hua
kunj tak aa ke mujhe suniye ki bulbul koi
aa ke mahfil men kabhi zamzama-paira na hua
Leave a Reply