bhala kab tak koi tanha rahega
kahan tak ye nagar suuna rahega
shab-e-furqat to kaT ja.egi lekin
tumhare jaur ka charcha rahega
hamen tark-e-ta.alluq bhi gavara
zamana kab magar chipka rahega
jahan bhi naam aa.ega tumhara
yaqinan tazkira mera rahega
junun-e-ishq ki varaftagi par
subuk-sar muddaton sahra rahega
Leave a Reply