husn har naunihal rakhta hai
koi tujh sa jamal rakhta hai
mujh se ho tere jaur ka shikva
ye bhala ehtimal rakhta hai
tujh se kuchh apna arz-e-hal kare
dil kab itni majal rakhta hai
maah kya hai ki jis se duun tashbih
husn tu be-zaval rakhta hai
jite-ji us se ashiq-e-mahjur
kab umid-e-visal rakhta hai
tu kahan aur us ka vasl kahan
ye khayal-e-muhal rakhta hai
ji men ‘bedar’ tere milne ka
aah kya kya khayal rakhta hai
Leave a Reply