huruf arz talab ki surat guzarte lamhon ka ḳhvab likhna
hamari ankhon ke samne hi hamare dil ki kitab likhna
kisi ki nazron ki narm barish se jab bhi bhige badan ki miTTi
sulagti sanson ke pairahan par hadis-e-husn-o-shabab likhna
hamare honTon ki tishna-kami tumhari ankhon se jab bhi lapke
kahin ye titli kahin pe ghuncha kahin shagufta gulab likhna
kabhi haqiqat se khel lena kabhi ulajhna majaz se tum
kabhi kisi se karam ki ḳhvahish kabhi kisi se azaab likhna
mujhe tum itni bulandiyon par na laao ki main ḳhuda nahin huun
miri haqiqat ke hashiye men mire fasane ka baab likhna
tum apne jiite gharon men apne gharon ki sazish bhi karna shamil
ukhaḌte ḳhemon ki qimaton men ‘asad’ fareb-e-tanab likhna
Leave a Reply