ham ne us shaḳhs ko mayusi ka paikar jaana
jis ne halat ki gardish ko muqaddar jaana
mere har sher se mahzuz hui hai duniya
mere har zaḳhm ko duniya ne gul-e-tar jaana
tajribe kaun si manzil pe mujhe le aa.e
mere ehsas ne har phuul ko patthar jaana
us se puchho ki gharib-ul-vatani kya shai hai
jis ko mushkil ho vatan apne palaT kar jaana
is liye ham ne chalaya na kisi par patthar
sar kisi ka bhi ho apna hi use sar jaana
fahm-o-idrak ki jab saari haden TuuT ga.iin
tishnagi ne miri sahra ko samundar jaana
sirf ehsas hi dukh-sukh ka pata deta hai
ham ne phulon ko bhi angaron ka bistar jaana
Leave a Reply