zamin ke zarre zarre nala-o-fariyad karte hain
chale aao dar-o-divar tum ko yaad karte hain
maza aata hai kuchh un ko hamara dil dukhane men
kabhi ham naala karte hain kabhi fariyad karte hain
bata de ai nazar se duur rah kar ruThne vaale
kisi ki is tarah duniya-e-dil barbad karte hain
mariz-e-hijr ki balin pe tum ik baar aa jaate
tumhare chahne vaale tumhin ko yaad karte hain
zaban-e-be-zabani ki ‘hayat’ ab intiha ye hai
hamen jis ne bhula Daala use ham yaad karte hain
Leave a Reply