nazar aata hai uThta jaan se dil se dhuan mujh ko
dayar-e-ishq men rahna hai ik bar-e-garan mujh ko
sitam-pesha mire afsana-e-gham ko nahin sunta
so kahna hai ba-andaz-e-hadis-e-digaran mujh ko
savad-e-sham hai jalte hue ḳhemon ka manzar hai
yahin avaz deti hai koi nok-e-sinan mujh ko
miri mauj-e-ravan ki sab ravani ḳhatm kar dega
bana dega vo har unvan-e-umr-e-ra.egan mujh ko
hamesha duur se vo imtihan-e-shauq karta hai
kabhi pahlu men bhi biThla.e yar-e-mehrban mujh ko
bharam rakhna hai kuchh to izzat-e-sadat ka aḳhir
ki ab hone lagi hain ishq men rusva.iyan mujh ko
mata-e-naqd-e-jan ḳhud rahzan ki nazr kar deta
agar main janna lauTega mir-e-karvan mujh ko
suna ashob-e-vahshat aur fishar-e-zat ka naghma
‘nadim’ ab karvan-e-dard le aaya kahan mujh ko
Leave a Reply