ham ne to justuju ko bhi hai mudda.a kiya
ya.ani ki dil ke dard ko husn-e-nava kiya
har jumbish-e-nazar men nihan tere inqalab
mujh ko ghaTa diya kabhi mujh ko siva kiya
ai kaash tera husn hi asl-e-hayat ho
teri nazar se ham ne haqiqat ko va kiya
us dashna-e-nazar ka bhala aur kya javab
hamdam men dil ke chaak hi baiTha siya kiya
us rahguzar se ab vo na guzrega ai nadim
kuchh main ne kah diya tha magar us ne kya kiya
main us se sarḳhushi men vahi baat kah gaya
kitna bura kiya are kitna bura kiya
kya kya jatan kiye na mohabbat men ai nadim
kya puchhte ho kya na kiya aur kya kiya
ab baz-gasht ki koi surat nikal sake
yuun to tire baghair bhi ye dil jiya kiya
ik chumti hui si nazar Daal kar
‘mas.ud’ tum ne ek sanam ko ḳhuda kiya
Leave a Reply