ham ne ḳhud chheḌa hai zaḳhmon ko hara rakhna tha
ḳhud ko ik shaḳhs se ta-umr ḳhafa rakhna tha
tang-damani men dam ghuTta hai divanon ka
ishq ham se tha to phir dil bhi baḌa rakhna tha
hanste gaate hue din guzra hai ham logon ka
raat ko aur zara karb-zada rakhna tha
kam se kam raushni ka da.ava nahin karte tum
jab charaghon ke muqaddar men hava rakhna tha
rang udasi ke na ja.enge chalo maana magar
kam se kam kamre ka huliya to naya rakhna tha
ek ummid jaga rakhni thi rukne ke liye
us ko thoḌa sa to darvaza khula rakhna tha
jaan le lega firaq ab ki sar-e-ishq tumhen
dil chalo Thiik magar jism juda rakhna tha
roz to aate nahin ahl-e-aza basti men
un ki ḳhatir to koi dard naya rakhna tha
Leave a Reply