ham ne hi lautne ka irada nahin kiya
us ne bhi bhuul jaane ka vaada nahin kiya
dukh odhte nahin kabhi jashn-e-tarab men ham
malbus-e-dil ko tan ka labada nahin kiya
jo gham mila hai bojh uthaya hai us ka khud
sar zer-e-bar-e-saghar-o-bada nahin kiya
kar-e-jahan hamen bhi bahut the safar ki shaam
us ne bhi iltifat ziyada nahin kiya
aamad pe teri itr o charagh o subu na hon
itna bhi bud-o-bash ko saada nahin kiya
Leave a Reply