• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Chal Pare Hat Mujhe Na dikhla Munh

Chal Pare Hat Mujhe Na dikhla Munh

momin-khan-momin

chal pare hat mujhe na dikhla munh

ai shab-e-hijr tera kaala munh

arzu-e-nazzara thi tu ne

itni hi baat par chhupaya munh

dushmanon se bigad gai to bhi

dekhte hi mujhe banaya munh

baat puuri bhi munh se nikli nahin

aap ne galiyon pe khola munh

ho gaya raz-e-ishq be-parda

us ne parde se jo nikala munh

shab-e-gham ka bayan kya kijiye

hai badi baat aur chhota munh

jab kaha yaar se dikha surat

hans ke bola ki dekho apna munh

kis ko khun-e-jigar pilaega

saghar-e-mai ko kyuun lagaya munh

phir gai aankh misl-e-qibla-numa

jis taraf us sanam ne phera munh

ghar men baithe the kuchh udaas se vo

bole bas dekhte hi mera munh

ham bhi ghamgin se hain aaj kahin

subh utthe the dekh tera munh

sang-e-asvad nahin hai chashm-e-butan

bosa ‘momin’ talab kare kya munh

Filed Under: Ghazal Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Ai Meri Jaan Tujhe Aur Badalna Hoga

Hamare Dil Mein Ab talKHi Nahin Hai

poet

Jis Ne Aadam Ke Tain Jaan baKHsha

Sufi

Ai Ki Sharah-e-Wazzuha Aamad Jamal-e-Ru-e-Tu

ahmad-zafar

Main Yun To Nahin Hai Ki Mohabbat Mein Nahin Tha

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet