ham zamane se faqat husn-e-guman rakhte hain
ham zamane se tavaqqo hi kahan rakhte hain
ek lamha bhi masarrat ka bahut hota hai
log jiine ka saliqa hi kahan rakhte hain
kuchh hamare bhi sitare tire daman pe rahen
ham bhi kuchh ḳhvab jahan-e-guzran rakhte hain
chand aansu hain ki hasti ki chamak hai jin se
kuchh havadis hain ki duniya ko javan rakhte hain
jan-o-dil nazr hain lekin nigah-e-lutf ki nazr
muft bikte hain qayamat bhi giran rakhte hain
apne hisse ki masarrat bhi aziyyat hai ‘zamir’
har nafas pas-e-gham-e-ham-nafasan rakhte hain
Leave a Reply