ham yaar ki ghairon pe nazar dekh rahe hain
go munh pe na la.enge magar dekh rahe hain
munh meri taraf hai to nazar ghair ki janib
karte hain kidhar baat kidhar dekh rahe hain
kai roz raqibon se nibhi rasm-e-mohabbat
ham bhi yahi ai rashk-e-qamar dekh rahe hain
qasid se jo bimar bahut mujh ko suna tha
aḳhbar men marne ki ḳhabar dekh rahe hain
pursan nahin koi bhi ‘nasim’ ahl-e-hunar ka
duniya ki hava shaam o sahar dekh rahe hain
Leave a Reply