ham sakun pa.enge salmaon men kya
ḳhushbuon ka qaht hai gaanv men kya
kam nahin gahre sundar se jo dil
vo bhala Dubega dariyaon men kya
har taraf raushan hain yadon ke kalas
ghir ga.e hain ham kalisaon men kya
jin ki ankhon men hai nindon ka ghubar
raushni pa.enge sahraon men kya
raat din qarnon se huun garm-e-safar
ek chakkar hai mire paanv men kya
dhuup to badnam hai yunhi ‘raza’
phuul murjhate nahin chhanv men kya
Leave a Reply