ham pi ga.e sab hile na ab tak
ji haar ga.e nujum-e-shab tak
har chand ghaTa.en chhaT ga.i hain
par dil pe ghubar sa hai ab tak
ḳhush ho na zamana mere gham par
aa.ega ye daur-e-jam sab tak
ashkon ne fasana kar diya hai
vo lafz ki aa saka na lab tak
har gham ko uḌa diya hansi men
tum pesh-e-nazar rahe ho jab tak
mai-ḳhane men sar chhupa.en aao
va ho dar-e-ka.aba jaane kab tak
‘shohrat’ koi aur baat chheḌo
ulTen vo naqab-e-lutf jab tak
Leave a Reply