ham ko yaan dar dar phiraya yaar ne
la-makan men ghar banaya yaar ne
aap apne dekhne ke vaste
ham ko aina banaya yaar ne
apne ik adna tamashe ke liye
ham ko suuli par chadhaya yaar ne
aap chhup ke ham ko kar ke ru-ba-ru
khuub hi rusva karaya yaar ne
aap to but ban ke ki jalvagari
aur hamen kafir banaya yaar ne