ham hain ai yaar chadhae hue paimana-e-ishq
tire matvale hain mashhur hain mastana-e-ishq
dushmanon men bhi raha rabt-e-mohabbat barson
khush na aaya kasi maashuq ko yarana-e-ishq
mujh ko jo chaah mohabbat ki hai majnun ko kahan
us ko laila hi ka sauda hai main divana-e-ishq
jaan lenge ki vo dil lenge jinhen chaha hai
dekhiye karte hain kya aa ke vo jurmana-e-ishq
ja-ba-ja chahne valon ka jo majmaa dekha
kucha-e-yar ko samjha main jilau-khana-e-ishq
sal-ha-sal se khush-bash jo huun sahra men
alam-e-hu ko samajhta huun main virana-e-ishq
dil pisa chahta hai ja ke hina par us ki
khirman-e-husn hua chahta hai dana-e-ishq
dil ka hai qasd tiri bazm men ad kar jaun
kya hi be-par ki udata hai ye parvana-e-ishq
har pari-zad ki hai jalva-numa ik tasvir
shisha-e-dil hai hamara ki pari-khana-e-ishq
dil mira khaas makan hai jo tiri ulfat ka
kahti hai saari khudai ise kashana-e-ishq
kaun kis ka shab-e-mearaj men hoga maashuq
ki hai kis shokh ne ye mahfil-e-shahana-e-ishq
tu kare naaz tujhe yaar zamana chahe
ta-abad ye rahe abad tira khana-e-ishq
us pari-ru ne jo dekha mire dil ko sad-chak
apni zulfon men kiya nam-e-hava shana-e-ishq
alam-e-nur tiri shakl ka parvana hai
husn ki jaan hai tu aur hai janana-e-ishq
sar-ba-kaf ganj-e-shahidan men chale jaate hain
imtihan se nahin darte tire farzana-e-ishq
nazaa men sura-e-yusuf koi lillah padhe
dam bhi nikle to marun sun ke main afsana-e-ishq
dabdabain miri ankhen to vo kya kahte hain
dekho labrez hain chhalkenge ye paimana-e-ishq
ai ‘sharaf’ kaun mire dil ke muqabil hoga
ik yahi saari khudai men hai mardana-e-ishq
Leave a Reply