• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Apni dida-Wari Se darti Hun

Apni dida-Wari Se darti Hun

rumana-rumi

apni dida-vari se darti huun

varna main kab kisi se darti huun

asl se naqal badh na jaae kahin

fan-e-surat-gari se darti huun

mujh ko itna khuda ka khauf nahin

jitna main aadmi se darti huun

dosti ki to baat hi na karo

main bahut dosti se darti huun

tirgi to miri muhafiz hai

ham-nafas raushni se darti huun

jis ko insaniyat se pyaar na ho

aise har aadmi se darti huun

duub jaun na main khudi men kahin

is liye is khudi se darti huun

khud kahin dil kahin dimagh kahin

main tiri bandagi se darti huun

maslahat se jo kaam lete hain

un ki kam-himmati se darti huun

le na duube tujhe ye ai ‘rumi’

main tiri khud-sari se darti huun

Filed Under: Ghazal Tagged With: Women Poets

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

poet

Teri Nazron Pe Tasadduq Aaj Ahl-E-Hosh Hain

Dahr Ke Andhe Kuen Mein Kas Ke Aawaza Laga

Chaman Chaman Jo Ye Subh-E-Bahaar Ki Zau Hai

Ye Jo Ishq-E-Masnad Ke Log Hain Unhen Ramz Sare Sikha Piya

poet

Shoara Mein Na Ho Kyun Sher Hamara Uncha

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet