• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Nazm / Hum donon

Hum donon

azra-abbas

ham dinon ikatthe rahte hain

ikatthe sote hain

hamare dukh sukh ek hain

hamari anhken ek dusre ke khvab

dekh leti hain

ham kahin bhi hon

ek dusre ke namon se jaane jaate hain

hamare ghar aane vaale

apni dastak men donon ka naam

shamil kar lete hain

din ke pahle hisse men

hamari anhken

ek dusre ko khush-amdid kahti hain

ab lafz hamare darmiyan

chup rahte hain

hamari sanson ka rhythm

jism ki harakat se

ek dusre ke hone ka itminan dilata hai

ham akasr

ab ek dusre ki niind so lete hain

lekin

is ke bavajud akasr

gahri raton men

hamare dil

apne apne sinon men

alag alag dhadakte hue

sunai dete hain

Filed Under: Nazm Tagged With: Women Poets

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Barham-Kun-E-Dil Yun Kabhi Barham Na Hua Tha

Subh Se Aur Miyan Sham Se Kya Milta Hai

azra-abbas

Aakhiri Rusumat Ke dauran

majrooh-sultanpuri

Mere Pichhe Ye To Muhaal Hai Ki Zamana Garm-E-Safar Na Ho

poet

Sukun-E-Qalb Mayassar Kise Jahan Mein Hai

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet