ham bikhar ja.enge naghmon-bhare ḳhvabon ki tarah
mutriba! chheḌ kabhi ham ko rababon ki tarah
ek parde men hain dar-parda bahut se parde
teri yaden hain pur-asrar hijabon ki tarah
zarf ki baat hai kanTon ki ḳhalish dil men liye
log milte hain tar-o-taza gulabon ki tarah
jin ke sinon men hain mahfuz mohabbat ke ḳhutut
ham hain kuchh aisi dil-avez kitabon ki tarah
dil tha vo TuuTa hua taj-mahal tha kya tha
chandni DhunD rahi hai jise ḳhvabon ki tarah
pyaas ki buund jo chhalke to samundar ban jaa.e
har nafas ḳhvab dikhata hai sarabon ki tarah
‘prem’ sha.er to shahanshah hua karte hain!
tum magar phirte ho kyuun ḳhana-ḳharabon ki tarah
Leave a Reply