ham bhi ai dost gham-e-ishq ke maare the kabhi
ham ne bhi chand hasin lamhe guzare the kabhi
kaun manega kise aaj yaqin aa.ega
ham bhi duniya ko dil-o-jan se pyare the kabhi
ab ye aalam hai ḳhalaon men bhaTakti hai nazar
zarre zarre men nihan chand sitare the kabhi
ab vahi haath hain aur chak-gareban zalim
jin se din raat tire baal sanvare the kabhi
zindagi jin se daraḳhshan thi mohabbat zinda
usi ḳhakistar-e-dil men sharare the kabhi
bhulna chahun agar main to bhula bhi na sakun
uff vo lamhe jo tire saath guzare the kabhi
itni zalim to na thi gardish-e-dauran ‘rahi’
itne be-bas to na ham ishq ke maare the kabhi
Leave a Reply