laut aaega kisi shaam yahi lagta hai
jagmagaenge dar-o-bam yahi lagta hai
ziist ki raah men tanha jo bhatakti huun main
ye vafaon ka hai inaam yahi lagta hai
ek muddat se musalsal huun safar men lekin
manzil shauq hai do-gam yahi lagta hai
ik kali bar sar-e-paikar khizaon se hai
ye nahin vaqif-e-anjam yahi lagta hai
mere aane ki khabar sun ke vo dauda aata
us ko pahuncha nahin paigham yahi lagta hai
mujh ko bhi kar dega rusva vo zamane bhar men
khud bhi ho jaega badnam yahi lagta hai
bhulna us ko hai asan ‘shabana’ lekin
mujh se hoga nahin ye kaam yahi lagta hai
Leave a Reply