ham ayat-e-qur.ani us vaqt hi paḌhte hain
ho jaan hatheli par tufan se guzarte hain
kab tab-e-nazara hai bas diid ki hasrat ha
mil jaao kisi din tum din raat taḌapte hain
rahta hai mohabbat ko har vaqt hi dhaḌka sa
mausam ki tarah kahte hain dost badalte hain
ye raat ki raani to ab meri saheli hai
ham hanste hain donon hi donon hi mahakte hain
dete hain mujhe har din tariḳh vo aane ki
va.adon se mukarte hain kab ishq vo karte hain
socha hai tumhen itna par yaad nahin kitna
shab yuun hi guzarti hai ham aahen hi bharte hain
in reshmi yadon ne uljha ke rakha mujh ko
din mere to aksar ab raton se ulajhte hain
jin pyaar ke lamhon se dil shaad sa rahta tha
‘dilshad’ vahi lamhe ranjur sa karte hain
Leave a Reply