ham ankhon se bhi arz-e-tamanna nahin karte
mub.ham sa ishara bhi gavara nahin karte
hasil hai jinhen daulat-e-sad-abla-pa.i
vo shikva-e-be-rangi-e-sahra nahin karte
sad-shukr ki dil men abhi ik qatra-e-ḳhun hai
ham shikva-e-be-rangi-e-duniya nahin karte
maqsud ibadat hai faqat diid nahin hai
ham pujte hain aap ko dekha nahin karte
kaafi hai tira naqsh-e-qadam chahe jahan ho
ham pairvi-e-dair-o-kalisa nahin karte
sajda bhi hai minjumla-e-asbab-e-numa.ish
jo ḳhud se guzar jaate hain sajda nahin karte
jin ko hai tiri zaat se yak-guna ta.alluq
vo tere taghaful ki bhi parva nahin karte
ye lamha-e-hazir to hai kaunain ka hasil
ham haal ko nazr-e-gham-e-farda nahin karte
har aag ko pahlu men chhupa lete hain ‘saghar’
ham tundi-e-sahba se bhi pighla nahin karte
Leave a Reply