mohabbat sehr hai yaaro agar hasil ho yak-rui
ye afsun khuub asar karta hai lekin jabki jadui
khayal-e-ma-siva siin saaf kar tu apne siine kuun
ki dil ke riahrta-e-ikhlas kuun lazim hai yaksui
libas-e-pumbai bin kyunke guzre mausam-e-sarma
qayamat hai ye teri sard-mehri tis pe ye sardi
andhera aa gaya ankhon ke aage khashm suun meri
jabhi us chhokare ki bul-havas nen zulf tuk chhui
pasine siin tire ai shokh bu aati hai daaru ki
eti ai fitnagar sikhi kahan siin tu nen bad-khui
muqabil dukhtar-e-raz ki jabhi vo mughbacha bola
ab us ke dekh maare shauq ke paani ho karchui
hue phirte ho dushman ‘abru’ ke ai sajan ab to
kaho ulfat dili aur dosti jaani vo kya hui
Leave a Reply