hujum-e-dard mila imtihan aisa tha
magar vo chup hi raha be-zaban aisa tha
kisi ki izzat-o-namus par na aanch aa.i
luTa to uf bhi na ki mehrban aisa tha
zamana guzra magar daagh rah gaya dil par
na miT saka kisi surat nishan aisa tha
badan ki shaḳh se us ke kiran jo lipTi thi
vo sah saka na use dhan-pan aisa tha
mata-e-zist luTa di ga.i magar us ne
zara bhi qadr na ki bad-guman aisa tha
nazar-shanas tha kaisa ki umr bhar ‘anjum’
bhula saka na use mehman aisa tha
Leave a Reply