nahin main yuun nahin kahta
ki ye duniya jahannam aur ham sab is ka indhan hain
nahin yuun bhi nahin kahta
ki ham jannat ke baasi hain
saron par la-javrdi shamiyane aur pairon men
nirale zaeqon vaale phalon ke ped shiir o shahad ki nahren machalti hain
mujhe to bas yahi kuchh aam si kuchh chhoti chhoti baten kahni hain
mujhe kahna hai
is dharti pe gulshan bhi hain sahra bhi
mahakti narm mitti bhi
aur us ki kokh men khvabon ka jaadu aane vaali nit nai faslon ki khushbu bhi
chatakhti aur tapti sakht be-his khuun ki pyasi chatanen bhi
mujhe kahna hai
ham sab apni dharti ki
burai aur bhalai sakhtiyon aur narmiyon achchhaiyon kotahiyon har rang
har pahlu ke mazhar hain
hamen insan ki manind
khair o shar mohabbat aur nafrat dushmani aur dosti ke saath jiina hai
isi dharti ka shahad o sam
isi dharti ke khat-mith jaane pahchane maze ka jaam piina hai
mujhe bas itna kahna hai
ki ham ko asmanon ya khalaon ki koi makhluq mat samjho
Leave a Reply