ab na phailaunga main dast-e-saval
main ne dekha hai ki majbur hai tu
meri duniya se bahut duur hai tu
teri qismat men jahanbani hai
meri taqdir men hairani hai
bazm-e-hasti men sar-afraz hai tu
mere anjam ka aghaz hai tu
tu hai asuda-e-farsh-e-sanjab
khuld hai tere shabistan ka javab
masjid-e-shahr ki mehrab ka kham
teri taqdis ki khata hai qasam
main huun ik shaer-e-avara-mizaj
aur tire farq pe akhlaq ka taaj
main ne aalam se baghavat ki hai
tu ne har shai se mohabbat ki hai!
main ne mazhab pe bhi ilzam dhara
tu ne vahmon ko bhi iman samjha
gil kahan aur khas-o-khashak kahan
alam-e-pak kahan khaak kahan
ab na phailaunga main dast-e-saval
Leave a Reply