hui ya mujh se nafrat ya kuchh is men kibr-o-naz aaya
kabhi vo muskura deta tha ab is se bhi baaz aaya
naya fitna jo nikla koi to ta.alim dilvane
zamana le ke us ko pesh-e-chashm-e-fitna-saz aaya
badalti rahti hai har dam miri shakl is qadar gham se
gaya jab main to samjha vo naya ik ishq-baz aaya
hui dil ki ḳhabar dil ko ki vo bad-zan hua varna
na Tapke ashk ankhon se na munh tak harf-e-raz aaya
bachaya dard se majbur kar ke tark-e-ulfat par
vo aaya dil-shikan ban kar to goya dil-navaz aaya
tire hathon shikast-e-dil men lutf-e-dil-navazi hai
ye kya kam hai ki pahlu tak tira dast-e-daraz aaya
magar taaza sitam ko vo miri sehat ka ḳhvahan hai
ki kal zaḳhmi kiya aur aaj ban kar charasaz aaya
ghubar-e-rah ne ankhen milane diin na dil bhar ke
vo mere ghar jo aaya le ke chashm-e-nim-baz aaya
hua hai ‘shauq’ mai-ḳhane men daḳhil kis takalluf se
bichhane ke liye masjid se le kar ja-namaz aaya
Leave a Reply