• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Yunhi Kisi Ke Dhyan Mein Apne Aap Mein Gati Do-Pahren

Yunhi Kisi Ke Dhyan Mein Apne Aap Mein Gati Do-Pahren

yunhi kisi ke dhyan men apne aap men gaati do-pahren

narm gulabi jaḌon vaali baal sukhati do-pahren

saare ghar men shaam Dhale tak khel vo dhuup aur chhanv ka

lappe patte kachche angan men loT lagati do-pahren

jivan-Dor ke pichhe hairan bhagti Toli bachchon ki

galiyon galiyon nange paanv dhuul uḌati do-pahren

sargoshi karte parde kunDi khaTkata naT-khaT din

dabe dabe qadmon se tapti chhat par jaati do-pahren

kamre men hairan khaḌe a.ina jaise hanste din

ḳhud se laḌ kar gaurayya si shor machati do-pahren

vahi muzafaton ke bhed bhare sannaTon vaale ghar

guḌiyon ke lab si kar un ka byaah rachati do-pahren

khiḌki ke TuuTe shishon par ek kahani likhti hain

manDhe hue piile kaghaz se chhan kar aati do-pahren

niim tale vo kachche dhage rangti hui purani yaad

ghera Daale chhoTi chhoTi haath baTati do-pahren

phaTi-purani kathri oḌhe dhuup senkte buḌhe din

peshani tak pallu khinche chilam banati do-pahren

paani ki taqsim ke pichhe jalte khet sulagte ghar

aur kheton ki zard munDeron par kumlati do-pahren

purva.i se laḌte kitne varaq purani yadon ke

saughaton ke sanduqon ko dhuup dikhati do-pahren

dukhti ankhen zaḳhmi poren uljhe dhagon jaise din

badal jaisi oḌhniyon par phuul khilati do-pahren

oḌhniyon ke uḌte badal rangon ke bazaron men

chuḌi ki dukanon se vo hamen bulati do-pahren

sunte hain ab un galiyon men phuul sharare khilte hain

ḳhuun ki holi khel rahi hain rang nahati do-pahren

ye to mere ḳhvab nahin hain ye to mera shahr nahin

kis janib se aa nikli hain ye gahnati do-pahren

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Yahan Jo peD the Apni jaDon Ko chhoD Chuke

Ye Gham Phir Se Ubharta Ja Raha Hai

Ye Mana Tum Ho Zamane Ke Ba-Kamalon Mein

Khoe Hue Sahra Tak Ai Baad-E-Saba Jaana

mubarak-azimabadi

Aab-O-dana Tera Ai Bulbul-E-Zar Uthta Hai

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2022 · Urdu Poet