hubab-asa men dam bharta huun teri ashnai ka
nihayat gham hai is qatre ko dariya ki judai ka
asiir ai dost tere ashiq o maashuq donon hain
giraftar ahani zanjir ka ye vo talai ka
taalluq ruuh se mujh ko jasad ka na-gavara hai
zamane men chalan hai chaar din ki ashnai ka
firaq-e-yar men mar mar ke akhir zindagani ke
raha sadma hamesha ruuh o qalib ki judai ka
hui manzur muhtaj na tujh ko apni saail ke
banaya kasa-e-sar vazhgun kaasa gadai ka
nazar aati hain har-su suraten hi suraten mujh ko
koi aina-khana karkhana hai judai ka
visal-e-yar ka vaada hai farda-e-qayamat par
yaqin mujh ko nahin hai gor tak apni rasai ka
bharosa aah par hargiz nahin ai yaar ashiq ko
shikar ab tak kahin dekha nahin tir-e-havai ka
dikhaya husn se eajaz-e-musi cilk-e-qudarat ne
yad-e-baiza banaya chuur angusht-e-hinai ka
nahin mitti hai patthar ki lakir ahbab kahte hain
rahega pa-e-but par naqsh apni jabha-sai ka
shikast-e-khatir-e-ahbab hoti hai durust is se
tavajjoh men tiri ai yaar asar hai momyai ka
dil apna aina se saaf ishq-e-pak rakhta hai
tamasha dekhta hai husn is men khud-numai ka
kaf-e-afsos malvati hai teri pak-damani
pinha kar shahid-e-ismat ko jaama parsai ka
nahin dekha hai lekin tujh ko pahchana hai ‘atish’ ne
baja hai ai sanam jo tujh ko daava hai khudai ka
Leave a Reply