
Tabish Dehlvi
zer-e-lab raha naala dard ki dava ho kar
aah ne sukun baḳhsha ah-e-na-rasa ho kar
kar diya ta.ayyun se zauq-e-ijz ko azad
naqsh-e-sajda ne mere tera naqsh-e-pa ho kar
fart-e-gham se behis huun gham hai gham na hone ka
dard kar diya paida dard ne dava ho kar
ho chuke hain sil baazu hai na himmat-e-parvaz
ham riha na ho paa.e qaid se riha ho kar
hasraten nikalti hain meri jaan jaati hai
dam labon pe aata hai harf-e-mudda.a ho kar
gham pe gham mujhe de kar gham se kar diya mahrum
kya mila zamane ko sabr-azma ho kar
ranj-e-aish hai baaqi ab na aish-e-gham ‘tabish’
kuchh ḳhabar nahin mujh ko rah gaya huun kya ho kar

Leave a Reply